tum puchhu aur main na bataaun - munni begum
tum puchhu aur main na bataaun
aise toh haalat nahi
ek zara sa dil tuuta hai
aur toh koi baat nahi
kis ko khabar thi saanwle baadal
bin barse udd jaate hain
saawan aaya lekin apni
kismat mein barsaat nahi
toot gaya jab dil toh phir
saanson ka nagma kya maane
goonj rahi hai kyun shehnai
jab koi baarat nahi
mere ghamgin hone par
ahbaab hain kyun hairaan "qateel"
jaise main patthar hun mere
seene mein jazbaat nahin
No comments:
Post a Comment