Thursday, July 8, 2010

Chaand bhi dekha(jagjit singh)



Chaand bhi dekha, phool bhi dekha

Baadal bijli titli jugnu
Koi nahin hai aisa
Tera husn hai jaisa, tera husn hai jaisa
Meri nigaah ne yeh kaisa khwaab dekha hai
Zameen pe chalta hua maahtaab dekha hai
Meri aankhon ne chuna hai
Tujhko duniya dekh kar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekh kar
Meri aankhon ne chuna hai
Tujhko duniya dekh kar

Neend bhi dekhi, khwaab bhi dekha
Choodi bindiya darpan khushboo
Koi nahin hai aisa
Tera pyaar hai jaisa, haan tera pyaar hai jaisa
Meri aankhon ne chuna hai
Tujhko duniya dekh kar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekh kar
Meri aankhon ne chuna hai
Tujhko duniya dekh kar

Rasta manzil saahil mehfil
Koi nahin hai aisa
Tera saath hai jaisa, ho tera saath hai jaisa
Meri aankhon ne chuna hai
Tujhko duniya dekhkar

Meri aankhon ne chuna hai
Tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekhkar

Meri aankhon ne chuna hai
Tujhko duniya dekhkar

Bahut khoobsurat hai aankhen tumhaari
Bana dijiye inko kismat hamaari

Usse aur kya chaahiye zindagi mein
Jisse mil gayi hai mohabbat tumhaari

No comments:

Post a Comment