Thursday, July 8, 2010

itna to yaad hai mujhe



itna to yaad hai mujhe
ke unnse mulakaat hui
baad mein jaane kya hua
najaane kya baat hui

vaade waffa ke karke
kasame utha ke
kisi pe dil luuta ke chala aaya
nazarein mila ke, neend apni ganwa ke
kasak dil mein basa ke chala aaya hai
din toh guzar jayega
kya hoga jab raat hui :P
itna toh yaad hai mujhe

maare hayya ke, main toh aankhein jhuka ke
zara daaman bacha ke chali aayi
parda hata ke unnki baaton mein aa ke
unnko surat dikha ke chali aayi
kis se shikayat karoon ?
sharart mere saath hui
itna toh yaad hai mujhe

thi ik kahani, pehle ye zindgani
tumhe dekha toh jeena mujhe aaya
dilbar O ! jaani !!
sharm se paani paani
hui main bas, paseena mujhe aaya
aise mein bheeg gayi
jaise ke barsaat hui

itna toh yaad hai mujhe
ke unnse mulakaat hui
baad mein jaane kya hua
najaane kya baat hui !!!!

No comments:

Post a Comment