Tuesday, July 6, 2010

jaise radha ne mala japi sham ki - tere mere sapne



jaise radha ne mala japi shyam ki
maine odhi chunariya tere naam ki

preet kya judi, dor kya bandhi
bina jatan bina yatan ho gayi main nayi
bina mol ki main biki bina daam ki

kya tarang hai, kya umang hai
moray ang ang rachaa pee ka rang hai
sharm aayi, kaise kahun baat shayam ki

pa liya tujhe, paayi har khushi
chahun baar baar chadhun teri palki
subah sham ki ye pyas, bade kaam ki

jaise radha ne mala japi shyam ki
maine odhi chunariya tere naam ki

No comments:

Post a Comment