mujhe khabar thi vo mera nahi paraya tha
par dhadkano ne ussi ko khuda banaya tha
main khwab khwab jise dhondhta phira barson
vo ashq ashq meri aankh mein samaya tha
tera kasoor nahi jaan, meri tanhai
ye rog maine hi khud jaan ko lagaya tha
tamaam shehr mein ik vo hai ajnabi mujhse
ke jis ne geet mera shehr ko sunaya tha
mujhe khabar thi vo mera nahi paraya tha
par dhadkano ne ussi ko khuda banaya tha
No comments:
Post a Comment