Thursday, July 8, 2010

niklo na benaqab zamaana kharaab hai - pankaj uddas



be parada nazar aayi jo kal chand biviya

akbar zamiin mein gairat-e-komii se gad gaya
pucha jo maine aapka parada wo kya huva
kehne lagi ke akll par marado ke pad gaya

niklo na benaqab zamaana kharaab hai
aur usape ye shabaab jamaana kharaab hai
niklo na benaqab zamaana kharaab hai

sab kuchh hamein khabar hai nasihat na kijiye
kya honge hum kharaab jamaana kharaab hai
aur usape ye shabaab jamaana kharaab hai
niklo na benaqab zamaana kharaab hai

matalab chhupa huva hai yahaan har sawaal mein
do sochkar jawaab jamaana kharaab hai
aur usape ye shabaab jamaana kharaab hai
niklo na benaqab zamaana kharaab hai

raashid tum aa gaye ho na aakhir fareb mein
kehte na the janaab zamaana kharaab hai
aur usape ye shabaab zamaana kharaab hai
niklo na benaqab zamaana kharaab haii
zamaana kharaab hai

No comments:

Post a Comment